wo dur ho gai ab tak jo mere pas mein thi
vo duur ho ga.ī ab tak jo mere paas meñ thī
vo jis ke jism kī ḳhushbū mire libās meñ thī
lipaT ga.ī mire siine se ghar meñ aate hī
vo mīThe zahr kī nāgin jo merī aas meñ thī
mirī ragoñ meñ utar kar fasād karne lagī
vahī sharāb jo ab tak mire gilās meñ thī
na jaane kis liye ab roz yaad aatī hai
vo ek laḌkī jo paḌhtī mire class meñ thī
jo kal talak baḌā Dartī thī cockroachoñ se
vo aaj chhipkalī pakḌe hue pilās meñ thī
wo dur ho gai ab tak jo mere pas mein thi
wo jis ke jism ki KHushbu mere libas mein thi
lipaT gai mere sine se ghar mein aate hi
wo miThe zahr ki nagin jo meri aas mein thi
meri ragon mein utar kar fasad karne lagi
wahi sharab jo ab tak mere gilas mein thi
na jaane kis liye ab roz yaad aati hai
wo ek laDki jo paDhti mere class mein thi
jo kal talak baDa Darti thi cockroachon se
wo aaj chhipkali pakDe hue pilas mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.