wo ek abr ka TukDa kahin baras bhi gaya
vo ek abr kā TukḌā kahīñ baras bhī gayā
hamārā peḌ magar dhuup meñ jhulas bhī gayā
isī liye to kahā thā ki hoshiyār raho
jo āstīn meñ paalā thā saañp Das bhī gayā
tumhārā baaġh se jaanā bhī ik qayāmat hai
guloñ se ḳhushbū ga.ī aur phaloñ se ras bhī gayā
shajar kī yaad rulātī hī thī magar ab to
jo āshiyāñ ke barābar thā vo qafas bhī gayā
lahū-luhān guloñ ko bahut kiyā jis ne
ga.ī bahār to vo tā.ir-e-havas bhī gayā
wo ek abr ka TukDa kahin baras bhi gaya
hamara peD magar dhup mein jhulas bhi gaya
isi liye to kaha tha ki hoshiyar raho
jo aastin mein pala tha sanp Das bhi gaya
tumhaara bagh se jaana bhi ek qayamat hai
gulon se KHushbu gai aur phalon se ras bhi gaya
shajar ki yaad rulati hi thi magar ab to
jo aashiyan ke barabar tha wo qafas bhi gaya
lahu-luhan gulon ko bahut kiya jis ne
gai bahaar to wo tair-e-hawas bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.