wo ek ashk jo hasil hai zindagani ka
vo ek ashk jo hāsil hai zindagānī kā
tamām 'umr ke manzar nichoḌ kar niklā
phir ek ḳhvāb ko bedār kar diyā kis ne
ye kaun raat ke shāne jhiñjhoḌ kar niklā
ḳhushī huī abhī maujūd huuñ kahīñ us meñ
mirī taraf se vo muñh apnā moḌ kar niklā
hisāb-e-'umr pe hairāñ haiñ ḳhizr bhī mere
jo tere hijr kī rātoñ ko joḌ kar niklā
kiyā thā dhuup kī shiddat ko zeb-tan maiñ ne
udhar vo chāñdnī rātoñ ko oḌh kar niklā
gaḌā ke daañt gale meñ lahū piyā merā
vo ik ḳhayāl ki mujh ko bhañbhoḌ kar niklā
wo ek ashk jo hasil hai zindagani ka
tamam 'umr ke manzar nichoD kar nikla
phir ek KHwab ko bedar kar diya kis ne
ye kaun raat ke shane jhinjhoD kar nikla
KHushi hui abhi maujud hun kahin us mein
meri taraf se wo munh apna moD kar nikla
hisab-e-'umr pe hairan hain KHizr bhi mere
jo tere hijr ki raaton ko joD kar nikla
kiya tha dhup ki shiddat ko zeb-tan main ne
udhar wo chandni raaton ko oDh kar nikla
gaDa ke dant gale mein lahu piya mera
wo ek KHayal ki mujh ko bhanbhoD kar nikla
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 37)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.