vo ek ḳhushbū jo apnī qabā badalne lagī
to saare shahr kī āb-o-havā badalne lagī
tamām raste usī kī galī ko jaate haiñ
to kyā huā vo agar rāsta badalne lagī
ajiib nashsha hai duniyā ko ḳhud-farebī kā
bashar badal nahīñ saktī ḳhudā badalne lagī
ye soch lenā tumhāre namak kā kyā hogā
agar hamārī zabāñ zā.iqa badalne lagī
vo muskurā.ī to jī aur be-qarār huā
hamārā dard vahī hai davā badalne lagī
wo ek KHushbu jo apni qaba badalne lagi
to sare shahr ki aab-o-hawa badalne lagi
tamam raste usi ki gali ko jate hain
to kya hua wo agar rasta badalne lagi
ajib nashsha hai duniya ko KHud-farebi ka
bashar badal nahin sakti KHuda badalne lagi
ye soch lena tumhaare namak ka kya hoga
agar hamari zaban zaiqa badalne lagi
wo muskurai to ji aur be-qarar hua
hamara dard wahi hai dawa badalne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.