wo ek KHwab jo dekha gaya tha ujlat mein
vo ek ḳhvāb jo dekhā gayā thā ujlat meñ
usī kā karb sameTā hai aaj fursat meñ
ye baat sach hai ki begār to nahīñ ye hayāt
ki ham ko zaḳhm-e-tamannā mile haiñ ujrat meñ
ziyāñ yahī hai ki kuchh aur sūjhtā hī nahīñ
bas ek dhyān meñ rahte haiñ log shohrat meñ
hunar kaho ki karāmat magar yahī hai ki ham
ḳhushī ko Dhaal bhī sakte haiñ ġham kī sūrat meñ
zamīn jiitī hai yā sarzamīn-e-dil us ne
savāl tishna rahā jashn-e-fat.h-o-nusrat meñ
wo ek KHwab jo dekha gaya tha ujlat mein
usi ka karb sameTa hai aaj fursat mein
ye baat sach hai ki begar to nahin ye hayat
ki hum ko zaKHm-e-tamanna mile hain ujrat mein
ziyan yahi hai ki kuchh aur sujhta hi nahin
bas ek dhyan mein rahte hain log shohrat mein
hunar kaho ki karamat magar yahi hai ki hum
KHushi ko Dhaal bhi sakte hain gham ki surat mein
zamin jiti hai ya sarzamin-e-dil us ne
sawal tishna raha jashn-e-fath-o-nusrat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.