wo ek lamha-e-rafta bhi kya bula laya
vo ek lamha-e-rafta bhī kyā bulā laayā
tavīl qissa hai batlā.ūñ kyā ki kyā laayā
jahāñ kahīñ bhī gayā saath thā ġhubār-e-hayāt
kahāñ se ḳhāk-e-pareshāñ ye maiñ uThā laayā
mire nasīb meñ thā ishq-e-jāvedāñ likkhā
vagarna kyuuñ maiñ tirī yaad ko bachā laayā
kahīñ bhī kuchh bhī ba-tartīb thā na vāzeh thā
bas ek ḳhāka-e-mub.ham sā thā banā laayā
wo ek lamha-e-rafta bhi kya bula laya
tawil qissa hai batlaun kya ki kya laya
jahan kahin bhi gaya sath tha ghubar-e-hayat
kahan se KHak-e-pareshan ye main uTha laya
mere nasib mein tha ishq-e-jawedan likkha
wagarna kyun main teri yaad ko bacha laya
kahin bhi kuchh bhi ba-tartib tha na wazeh tha
bas ek KHaka-e-mubham sa tha bana laya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 31)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.