wo ek lamha jise jawedan kaha jae
vo ek lamha jise jāvedāñ kahā jaa.e
mile to hāsil-e-umr-e-ravāñ kahā jaa.e
unhīñ se ruuh ko farhat unhīñ se dil ko qarār
vo hādsāt jinheñ jāñ-sitāñ kahā jaa.e
isī meñ chand mohabbat ke din bhī shāmil haiñ
tamām umr ko kyoñ rā.egāñ kahā jaa.e
mire nasīb meñ likhe na jā sake tum se
vo chaar tinke jinheñ āshiyāñ kahā jaa.e
mire hujūm-e-tamannā kī āḳhirī manzil
bas ek marg jise nā-gahāñ kahā jaa.e
adā-e-tamkanat-e-husn kā taqāzā hai
har ik sitam pe unheñ mehrbāñ kahā jaa.e
har ek qatre meñ sau sau hikāyateñ hoñgī
hazār dīda-e-tar be-zabāñ kahā jaa.e
harīm-e-dil meñ kahīñ rah ga.ī ḳhalish ban kar
kisī kī yaad jise nīsh-e-jāñ kahā jaa.e
hamāre ashk hī jab 'nūr' rakh sake na bharam
phir aur kis ko bhalā rāzdāñ kahā jaa.e
wo ek lamha jise jawedan kaha jae
mile to hasil-e-umr-e-rawan kaha jae
unhin se ruh ko farhat unhin se dil ko qarar
wo hadsat jinhen jaan-sitan kaha jae
isi mein chand mohabbat ke din bhi shamil hain
tamam umr ko kyon raegan kaha jae
mere nasib mein likhe na ja sake tum se
wo chaar tinke jinhen aashiyan kaha jae
mere hujum-e-tamanna ki aaKHiri manzil
bas ek marg jise na-gahan kaha jae
ada-e-tamkanat-e-husn ka taqaza hai
har ek sitam pe unhen mehrban kaha jae
har ek qatre mein sau sau hikayaten hongi
hazar dida-e-tar be-zaban kaha jae
harim-e-dil mein kahin rah gai KHalish ban kar
kisi ki yaad jise nish-e-jaan kaha jae
hamare ashk hi jab 'nur' rakh sake na bharam
phir aur kis ko bhala raazdan kaha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.