wo ek nam jo gesu-e-gham ka shana tha
vo ek naam jo gesū-e-ġham kā shāna thā
vo ik hasīn ta.āruf jo ġhā.ebāna thā
mire junūñ pe baraste rahe bahār ke phuul
har ek sañg meñ pinhāñ nigār-ḳhāna thā
ruke jo ham to huī tez gardish-e-daurāñ
qadam baḌhā.e to Thahrā huā zamāna thā
ġham-e-hayāt ke daur-e-itāb meñ 'nāzish'
mirī hañsī kā har andāz mujrimāna thā
wo ek nam jo gesu-e-gham ka shana tha
wo ek hasin taaruf jo ghaebana tha
mere junun pe baraste rahe bahaar ke phul
har ek sang mein pinhan nigar-KHana tha
ruke jo hum to hui tez gardish-e-dauran
qadam baDhae to Thahra hua zamana tha
gham-e-hayat ke daur-e-itab mein 'nazish'
meri hansi ka har andaz mujrimana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.