wo ek pal jo guzara hai pasdari mein
vo ek pal jo guzārā hai pāsdārī meñ
sukūn detā rahā mujh ko be-qarārī meñ
vo merī ruuh meñ jab tak na bas gayā aa kar
sañbhal sakā na kabhī dil ye be-qarārī meñ
hinā.ī dast kī mojiz-numā.iyāñ mat pūchh
tamām umr guzārī hai sharmsārī meñ
havas hai gauhar-e-nāyāb kī agar tujh ko
to Duub jā kabhī shabnam kī tāb-kārī meñ
samā ga.e haiñ nazar meñ lahū lahū manzar
tujhe milegā bhī kyā ḳhaak ashk-bārī meñ
kisī ke dil ko bhalā khīñche kyā tirā naala
'asar' asar ho koī jab na āh-o-zārī meñ
wo ek pal jo guzara hai pasdari mein
sukun deta raha mujh ko be-qarari mein
wo meri ruh mein jab tak na bas gaya aa kar
sanbhal saka na kabhi dil ye be-qarari mein
hinai dast ki mojiz-numaiyan mat puchh
tamam umr guzari hai sharmsari mein
hawas hai gauhar-e-nayab ki agar tujh ko
to Dub ja kabhi shabnam ki tab-kari mein
sama gae hain nazar mein lahu lahu manzar
tujhe milega bhi kya KHak ashk-bari mein
kisi ke dil ko bhala khinche kya tera nala
'asar' asar ho koi jab na aah-o-zari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.