wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai
vo ek sajda ki jo be-rukūa hotā hai
ajab maqām-e-ḳhushū-o-ḳhuzūa hotā hai
bisāt ulaTtī hai shab kī sitāre bujhte haiñ
charāġh gul karo sūraj tulūa hotā hai
mo.arriḳhoñ se kaho likkheñ ik na.ī tārīḳh
vo āsmān zamīñ se rujūa hotā hai
zabān miltī hai dhaḌkan ko isti.āroñ kī
bayān dil kā mahall-e-vaqūa hotā hai
wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai
ajab maqam-e-KHushu-o-KHuzua hota hai
bisat ulaTti hai shab ki sitare bujhte hain
charagh gul karo suraj tulua hota hai
moarriKHon se kaho likkhen ek nai tariKH
wo aasman zamin se rujua hota hai
zaban milti hai dhaDkan ko istiaron ki
bayan dil ka mahall-e-waqua hota hai
- Book : Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 27)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.