Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek sang hai jis ka tawaf karte rahe

Saqib Harooni

wo ek sang hai jis ka tawaf karte rahe

Saqib Harooni

MORE BYSaqib Harooni

    vo ek sang hai jis tavāf karte rahe

    magar ye kaam ḳhirad ke ḳhilāf karte rahe

    ki ham ne dekh ke chādar ko paañv phailāyā

    guzar-basar bhī ba-qadr-e-kafāf karte rahe

    ham apnī zaat ko ḳhākī sifat banāne meñ

    ruḳh-e-hayāt se miTTī ko saaf karte rahe

    jo ahl-e-zarf the paivandgī ke qaa.il the

    ḳhasīs log to chhat meñ shigāf karte rahe

    paloñ meñ ghoñT ga.e puḳhtagī ke hāmil sab

    na.e jo rind the bas shiin qaaf karte rahe

    tamām shab rahā jaarī varūd-e-sher-o-suḳhan

    charāġh-e-dil button on of karte rahe

    hamārī zaat ko kar de na muttahim 'sāqib'

    ḳhudī se duur ḳhatar ġhilāf karte rahe

    wo ek sang hai jis ka tawaf karte rahe

    magar ye kaam KHirad ke KHilaf karte rahe

    ki hum ne dekh ke chadar ko panw phailaya

    guzar-basar bhi ba-qadr-e-kafaf karte rahe

    hum apni zat ko KHaki sifat banane mein

    ruKH-e-hayat se miTTi ko saf karte rahe

    jo ahl-e-zarf the paiwandgi ke qail the

    KHasis log to chhat mein shigaf karte rahe

    palon mein ghonT gae puKHtagi ke hamil sab

    nae jo rind the bas shin qaf karte rahe

    tamam shab raha jari warud-e-sher-o-suKHan

    charagh-e-dil ka button on of karte rahe

    hamari zat ko kar de na muttahim 'saqib'

    KHudi se dur KHatar ka ghilaf karte rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now