wo ek sham jo pardes mein utarti hai
vo ek shaam jo pardes meñ utartī hai
tumheñ ḳhabar hī nahīñ dil pe kyā guzartī hai
tumheñ ḳhabar hī nahīñ mere din guzarne kī
tumheñ ḳhabar hī nahīñ raat kaise kaTtī hai
ajab zamīn pe utrā huuñ is ke rañg ajiib
pare dhakeltī hai paañv bhī pakaḌtī hai
ye kyā huā ki kisī aur ghar ke āñgan meñ
tire jamāl kī bārish barastī rahtī hai
havā ke dosh pe uḌtā maiñ jā rahā huuñ 'atā'
zamīn paañv se mere saraktī jaatī hai
wo ek sham jo pardes mein utarti hai
tumhein KHabar hi nahin dil pe kya guzarti hai
tumhein KHabar hi nahin mere din guzarne ki
tumhein KHabar hi nahin raat kaise kaTti hai
ajab zamin pe utra hun is ke rang ajib
pare dhakelti hai panw bhi pakaDti hai
ye kya hua ki kisi aur ghar ke aangan mein
tere jamal ki barish barasti rahti hai
hawa ke dosh pe uDta main ja raha hun 'ata'
zamin panw se mere sarakti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.