Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

Nabeel Ahmad Nabeel

wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    vo ek shaḳhs ba-andāz-e-mahramāna milā

    milā vo jab bhī hameñ zaat se judā na milā

    hameñ bhī apnī jabīñ ko jhukānā aatā thā

    magar talāsh thī jis vo naqsh-e-pā na milā

    kisī ke husn mazmūn ham raqam karte

    so hasb-e-hāl hameñ aisā qāfiya na milā

    vazāhateñ to mohabbat meñ ham bhī karte magar

    kitāb-e-dil hameñ koī hāshiya na milā

    use jafā jafā se javāb kyā dete

    hameñ mizāj milā bhī to dostāna milā

    na thā sarisht meñ āh-o-fuġhāñ rañg koī

    isī liye to hameñ nāla-e-rasā na milā

    agar mile to use hāl-e-dil kah denā

    phir us ke ba.ad vo tum se milā milā na milā

    misāl-e-mauj-e-ravāñ sab guzarte jaate haiñ

    isī liye to hameñ koī nāḳhudā na milā

    wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

    mila wo jab bhi hamein zat se juda na mila

    hamein bhi apni jabin ko jhukana aata tha

    magar talash thi jis ki wo naqsh-e-pa na mila

    kisi ke husn ka mazmun hum raqam karte

    so hasb-e-haal hamein aisa qafiya na mila

    wazahaten to mohabbat mein hum bhi karte magar

    kitab-e-dil ka hamein koi hashiya na mila

    use jafa ka jafa se jawab kya dete

    hamein mizaj mila bhi to dostana mila

    na tha sarisht mein aah-o-fughan ka rang koi

    isi liye to hamein nala-e-rasa na mila

    agar mile to use haal-e-dil hi kah dena

    phir us ke baad wo tum se mila mila na mila

    misal-e-mauj-e-rawan sab guzarte jate hain

    isi liye to hamein koi naKHuda na mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now