wo ek shaKHs ba-zahir jo aashna na lage
vo ek shaḳhs ba-zāhir jo āshnā na lage
vafā kā naam na le aur bevafā na lage
mirā ḳhulūs ki e.ajāz-e-husn-e-yār hai ye
jahāñ bhī sajda karūñ us kā āstāna lage
hayāt ain haqīqat sahī ba-faiz-e-nigāh
hayāt phir bhī haqīqat meñ kyoñ fasāna lage
ḳhudā kare na ho mahrūm yuuñ jahāñ meñ koī
davā jise na mayassar ho aur duā na lage
na koī jhoñkā havā kā na raushnī kī kiran
vo habs hai ki qafas apnā āshiyāna lage
wo ek shaKHs ba-zahir jo aashna na lage
wafa ka nam na le aur bewafa na lage
mera KHulus ki eajaz-e-husn-e-yar hai ye
jahan bhi sajda karun us ka aastana lage
hayat ain haqiqat sahi ba-faiz-e-nigah
hayat phir bhi haqiqat mein kyon fasana lage
KHuda kare na ho mahrum yun jahan mein koi
dawa jise na mayassar ho aur dua na lage
na koi jhonka hawa ka na raushni ki kiran
wo habs hai ki qafas apna aashiyana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.