wo ek shaKHs jo aansu bahane wala hai
vo ek shaḳhs jo aañsū bahāne vaalā hai
tamām shahr kī ḳhushiyāñ charāne vaalā hai
abhī maiñ dekh ke aa.ī huuñ us kī aañkh ko
tumhāre shahr meñ sailāb aane vaalā hai
tumhārī āñkhoñ pe jā.ūñ ki hañste hoñToñ par
tumhārā Dhang samajh meñ na aane vaalā hai
kahāñ haiñ duudh kī nahreñ nikālne vaale
yahāñ to jo bhī hai bāteñ banāne vaalā hai
maiñ ḳhush bahut huuñ ki sūraj nikal rahā hai 'qamar'
magar vo vaqt jo phūloñ pe aane vaalā hai
wo ek shaKHs jo aansu bahane wala hai
tamam shahr ki KHushiyan charane wala hai
abhi main dekh ke aai hun us ki aankh ko
tumhaare shahr mein sailab aane wala hai
tumhaari aankhon pe jaun ki hanste honTon par
tumhaara Dhang samajh mein na aane wala hai
kahan hain dudh ki nahren nikalne wale
yahan to jo bhi hai baaten banane wala hai
main KHush bahut hun ki suraj nikal raha hai 'qamar'
magar wo waqt jo phulon pe aane wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.