wo ek shaKHs jo itna udas lagta hai
vo ek shaḳhs jo itnā udaas lagtā hai
na jaane kyoñ vo mire dil ke paas lagtā hai
chaman meñ rang fazāoñ ne jab se hai badlā
har ek chehre pe ḳhauf-o-hirās lagtā hai
yuuñ ġhaur-o-fikr ke dariyā maiñ pī chukā phir bhī
mirā vajūd kyoñ sadiyoñ kī pyaas lagtā hai
mirā rafīq bhī ab jā milā raqīboñ se
bahut zahīn hai mauqa.a-shanās lagtā hai
dhaḌakne dil jo lagā bekalī sī hai taarī
jigar ke kone meñ un kā nivās lagtā hai
ḳhabar hai garm ki mahfil meñ vo bhī ā.eñge
yaqīn kam hai ziyāda qayās lagtā hai
ho ruuh khokhlī tārīk ho zamīr agar
badan bhī dekhiye ḳhālī gilās lagtā hai
barahna kaun nahīñ hai yahāñ pe ai 'imrān'
agarche jism pe sab ke libās lagtā hai
wo ek shaKHs jo itna udas lagta hai
na jaane kyon wo mere dil ke pas lagta hai
chaman mein rang fazaon ne jab se hai badla
har ek chehre pe KHauf-o-hiras lagta hai
yun ghaur-o-fikr ke dariya main pi chuka phir bhi
mera wajud kyon sadiyon ki pyas lagta hai
mera rafiq bhi ab ja mila raqibon se
bahut zahin hai mauqa-shanas lagta hai
dhaDakne dil jo laga bekali si hai tari
jigar ke kone mein un ka niwas lagta hai
KHabar hai garm ki mahfil mein wo bhi aaenge
yaqin kam hai ziyaada qayas lagta hai
ho ruh khokhli tarik ho zamir agar
badan bhi dekhiye KHali gilas lagta hai
barahna kaun nahin hai yahan pe ai 'imran'
agarche jism pe sab ke libas lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.