wo ek shaKHs jo milta tha doston ki tarah
vo ek shaḳhs jo miltā thā dostoñ kī tarah
badal ke rah gayā rangīn mausamoñ kī tarah
thā intizār mujhe jis kā itnī muddat se
vo mere sāmne aayā to dushmanoñ kī tarah
bahār aa.ī ki tū aayā hai ye 'ilm nahīñ
mahak uThī hai fazā tere gesuoñ kī tarah
simaT ke rah ga.ī merī bhī shaḳhsiyat jis meñ
vo aisā chhāne lagā mujh pe vus'atoñ kī tarah
jo terā naam kisī ne liyā sharārat se
uḌā ke le gayā sukh-chain āñchaloñ kī tarah
'humairā' itnā bhī pāgal jahāñ meñ koī na ho
kisī kā dard lage jis ko rāhatoñ kī tarah
wo ek shaKHs jo milta tha doston ki tarah
badal ke rah gaya rangin mausamon ki tarah
tha intizar mujhe jis ka itni muddat se
wo mere samne aaya to dushmanon ki tarah
bahaar aai ki tu aaya hai ye 'ilm nahin
mahak uThi hai faza tere gesuon ki tarah
simaT ke rah gai meri bhi shaKHsiyat jis mein
wo aisa chhane laga mujh pe wus'aton ki tarah
jo tera nam kisi ne liya shararat se
uDa ke le gaya sukh-chain aanchalon ki tarah
'humaira' itna bhi pagal jahan mein koi na ho
kisi ka dard lage jis ko rahaton ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.