wo gham de rahe hain KHushi ho rahi hai
vo ġham de rahe haiñ ḳhushī ho rahī hai
haqīqat meñ ab āshiqī ho rahī hai
abhī mohtasib mai-kade meñ na aa.eñ
Thahar jā.iye mai-kashī ho rahī hai
mohabbat meñ kitne hī mansūr gum haiñ
ḳhudī bhī yahāñ be-ḳhudī ho rahī hai
na zauq-e-talab hai na ehsās-e-manzil
ye jiinā hai yā ḳhud-kushī ho rahī hai
koī jur.ateñ dekhe ahl-e-havas kī
mohabbat se bhī dil lagī ho rahī hai
ye mai-ḳhāne meñ kis kā paimāna chhalkā
bahut duur tak raushnī ho rahī hai
na pūchho yagānoñ kī begāngī ko
ye sab dost meñ dostī ho rahī hai
ajab ālam-e-'kaif' hai bazm-e-jānāñ
nigāhoñ se bhī bandagī ho rahī hai
wo gham de rahe hain KHushi ho rahi hai
haqiqat mein ab aashiqi ho rahi hai
abhi mohtasib mai-kade mein na aaen
Thahar jaiye mai-kashi ho rahi hai
mohabbat mein kitne hi mansur gum hain
KHudi bhi yahan be-KHudi ho rahi hai
na zauq-e-talab hai na ehsas-e-manzil
ye jina hai ya KHud-kushi ho rahi hai
koi juraten dekhe ahl-e-hawas ki
mohabbat se bhi dil lagi ho rahi hai
ye mai-KHane mein kis ka paimana chhalka
bahut dur tak raushni ho rahi hai
na puchho yaganon ki begangi ko
ye sab dost mein dosti ho rahi hai
ajab aalam-e-'kaif' hai bazm-e-jaanan
nigahon se bhi bandagi ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.