wo gham mila ki usko samundar bana diya
vo ġham milā ki us ko samundar banā diyā
patthar sī ārzūoñ ko gauhar banā diyā
ye mājrā to basne basāne kī baat hai
ik dil thā mere paas tirā ghar banā diyā
phir kārvāñ ke luTne kā shikva nahīñ kareñ
jab rahzanoñ ko aap ne rahbar banā diyā
aise shafīq log bhī haiñ is zamīn par
bas ik nigah kī aur muqaddar banā diyā
us ham-safar ko kaise bhulā.ūñgī 'umr bhar
jis ne safar ko 'nāz' hasīñ-tar banā diyā
wo gham mila ki us ko samundar bana diya
patthar si aarzuon ko gauhar bana diya
ye majra to basne basane ki baat hai
ek dil tha mere pas tera ghar bana diya
phir karwan ke luTne ka shikwa nahin karen
jab rahzanon ko aap ne rahbar bana diya
aise shafiq log bhi hain is zamin par
bas ek nigah ki aur muqaddar bana diya
us ham-safar ko kaise bhulaungi 'umr bhar
jis ne safar ko 'naz' hasin-tar bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.