wo gham meri palkon se numayan bhi nahin hai
vo ġham mirī palkoñ se numāyāñ bhī nahīñ hai
yuuñ jashn huā hai ki charāġhāñ bhī nahīñ hai
patthar bhī koī mārne vaalā nahīñ miltā
ā.īna kisī aks se hairāñ bhī nahīñ hai
ik josh-e-talab hai ki use DhūñD rahā huuñ
mil jā.egā vo shaḳhs ye imkāñ bhī nahīñ hai
shahroñ se huiiñ ishq kī be-tābiyāñ ruḳhsat
dīvāngī-e-dil ko bayābāñ bhī nahīñ hai
lauT aa.egā ik roz yahī ḳhvāb meñ apne
yuuñ us se ba-zāhir koī paimāñ bhī nahīñ hai
āñkhoñ meñ bahut roz se aañsū nahīñ aa.e
dariyā kā mire dasht meñ imkāñ bhī nahīñ hai
mat dekh mire chehre pe is hijr kā manzar
nazzāra tirī aañkh ke shāyāñ bhī nahīñ hai
le jā.eñgī manzil pe usī dost kī āñkheñ
raste meñ musāfir ke charāġhāñ bhī nahīñ hai
ik dard-e-tamannā ko liye phirtā huuñ 'ādil'
is sachchī kahānī kā to unvāñ bhī nahīñ hai
wo gham meri palkon se numayan bhi nahin hai
yun jashn hua hai ki charaghan bhi nahin hai
patthar bhi koi marne wala nahin milta
aaina kisi aks se hairan bhi nahin hai
ek josh-e-talab hai ki use DhunD raha hun
mil jaega wo shaKHs ye imkan bhi nahin hai
shahron se huin ishq ki be-tabiyan ruKHsat
diwangi-e-dil ko bayaban bhi nahin hai
lauT aaega ek roz yahi KHwab mein apne
yun us se ba-zahir koi paiman bhi nahin hai
aankhon mein bahut roz se aansu nahin aae
dariya ka mere dasht mein imkan bhi nahin hai
mat dekh mere chehre pe is hijr ka manzar
nazzara teri aankh ke shayan bhi nahin hai
le jaengi manzil pe usi dost ki aankhen
raste mein musafir ke charaghan bhi nahin hai
ek dard-e-tamanna ko liye phirta hun 'adil'
is sachchi kahani ka to unwan bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.