wo gham qubul hai jo teri chashm se mile
vo ġham qubūl hai jo tirī chashm se mile
ham ko hunar tamām usī zaḳhm se mile
raushan hai saarī zindagī is dil kī aag se
aur dil ko aañch ik suḳhan-e-garm se mile
jab rañg-o-nūr-o-naġhma nahīñ iḳhtiyār meñ
ik e'tibār-e-shauq hī us bazm se mile
dil ko lapeT letā hai ik reshmīñ ḳhayāl
jab bhī nigāh us nigah-e-narm se mile
is dil ke saare ḳhvāb mohabbat ke sab gulāb
ik she'r se khile kabhī ik nazm se mile
hamrāh chal rahā thā falak bhī tamām shab
yuuñ ahl-e-ḳhāk-o-ḳhvāb mah-o-najm se mile
dil meñ to un kī aab koī dekhtā na thā
durr-e-samīn the jo dar-chashm se mile
wo gham qubul hai jo teri chashm se mile
hum ko hunar tamam usi zaKHm se mile
raushan hai sari zindagi is dil ki aag se
aur dil ko aanch ek suKHan-e-garm se mile
jab rang-o-nur-o-naghma nahin iKHtiyar mein
ek e'tibar-e-shauq hi us bazm se mile
dil ko lapeT leta hai ek reshmin KHayal
jab bhi nigah us nigah-e-narm se mile
is dil ke sare KHwab mohabbat ke sab gulab
ek she'r se khile kabhi ek nazm se mile
hamrah chal raha tha falak bhi tamam shab
yun ahl-e-KHak-o-KHwab mah-o-najm se mile
dil mein to un ki aab koi dekhta na tha
durr-e-samin the jo dar-chashm se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.