wo garm aansuon ki rawani tamam raat
vo garm āñsuoñ kī ravānī tamām raat
dekhā ma.āl-e-soz-e-nihānī tamām raat
merī hī tarah aap kabhī merī yaad meñ
hoñ mubtalā-e-soz-e-nihānī tamām raat
maiñ aap ke huzūr na hūñgā to dil mirā
hogā barā.e yād-dahānī tamām raat
un kī bahār-e-husn se aalam hī aur thā
thī chāndnī bhī kitnī suhānī tamām raat
rotā nahīñ 'shafīq' hī un ke firāq meñ
kartī haiñ vo bhī ashk-fishānī tamām raat
wo garm aansuon ki rawani tamam raat
dekha maal-e-soz-e-nihani tamam raat
meri hi tarah aap kabhi meri yaad mein
hon mubtala-e-soz-e-nihani tamam raat
main aap ke huzur na hunga to dil mera
hoga barae yaad-dahani tamam raat
un ki bahaar-e-husn se aalam hi aur tha
thi chandni bhi kitni suhani tamam raat
rota nahin 'shafiq' hi un ke firaq mein
karti hain wo bhi ashk-fishani tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.