wo garm-joshi ka izhaar kar diya usne
vo garm-joshī kā iz.hār kar diyā us ne
ki barf thā maiñ sharar-bār kar diyā us ne
thī us ke qurb meñ jaise koī masīhā.ī
chalā gayā hai to bīmār kar diyā us ne
bas ek iiñT ġhalat-fahmī kī paḌī mujh se
us ek iiñT ko dīvār kar diyā us ne
ujaaḌ dil pe ghaTā ban ke is tarah barsā
sulagte dasht ko gulzār kar diyā us ne
bahut yaqīn thā iqrār kā magar 'kāshif'
kise batā.eñ ki inkār kar diyā us ne
wo garm-joshi ka izhaar kar diya us ne
ki barf tha main sharar-bar kar diya us ne
thi us ke qurb mein jaise koi masihai
chala gaya hai to bimar kar diya us ne
bas ek inT ghalat-fahmi ki paDi mujh se
us ek inT ko diwar kar diya us ne
ujaD dil pe ghaTa ban ke is tarah barsa
sulagte dasht ko gulzar kar diya us ne
bahut yaqin tha iqrar ka magar 'kashif'
kise bataen ki inkar kar diya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.