wo ghaDi wo rut gai wo din gae mausam gae
vo ghaḌī vo rut ga.ī vo din ga.e mausam ga.e
saath ik jān-e-vafā ke kitne hī aalam ga.e
vo ga.e to aur phir koī na un sā mil sakā
vaadī vaadī ham phire pūrab ga.e pachchham ga.e
aas TuuTī dil kī yā koī nayā vaada huā
ai shab-e-ġham kyā huā kyuuñ mere aañsū tham ga.e
ek ham jo tujh se chhuT kar bhī tire dar ke rahe
ek vo jo bazm meñ rah kar bhī nā-mahram ga.e
aaj se ḳhush rah ke bhī dekheñge tere ġham-nasīb
terī marzī hai to le aaheñ ga.iiñ mātam ga.e
wo ghaDi wo rut gai wo din gae mausam gae
sath ek jaan-e-wafa ke kitne hi aalam gae
wo gae to aur phir koi na un sa mil saka
wadi wadi hum phire purab gae pachchham gae
aas TuTi dil ki ya koi naya wada hua
ai shab-e-gham kya hua kyun mere aansu tham gae
ek hum jo tujh se chhuT kar bhi tere dar ke rahe
ek wo jo bazm mein rah kar bhi na-mahram gae
aaj se KHush rah ke bhi dekhenge tere gham-nasib
teri marzi hai to le aahen gain matam gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.