Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ghar chhoD kar ja raha hai suno

Adil Mansuri

wo ghar chhoD kar ja raha hai suno

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    vo ghar chhoḌ kar rahā hai suno

    ḳhudā ke liye koī to rok lo

    khule sar pareshān saḌkoñ pe vo

    kise DhūñDhtā hai zarā pūchh lo

    kahīñ kho na jaa.e vo is bhiiḌ meñ

    lapak kar zarā us ko āvāz do

    ye sho.ale ugaltī huī dopahar

    jalā degī us ke har ik ḳhvāb ko

    vo lamhoñ chaltī huī barchhiyāñ

    usī samt baḌhtā hai vo shaḳhs to

    wo ghar chhoD kar ja raha hai suno

    KHuda ke liye koi to rok lo

    khule sar pareshan saDkon pe wo

    kise DhunDhta hai zara puchh lo

    kahin kho na jae wo is bhiD mein

    lapak kar zara us ko aawaz do

    ye shoale ugalti hui dopahar

    jala degi us ke har ek KHwab ko

    wo lamhon ki chalti hui barchhiyan

    usi samt baDhta hai wo shaKHs to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now