aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah

Sajjad Baqar Rizvi

wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    vo ghir ke aayā ghaTāoñ tīrgī tarah

    baras paḌā mire āñgan meñ chāñdnī tarah

    vo jis ke vāste ik harf-e-mudda.ā na milā

    utar gayā mire siine meñ āgahī tarah

    nazar bachā ke jise dekhte the mere harīf

    samā gayā mirī āñkhoñ meñ raushnī tarah

    havā pe jis ke qadam haiñ misāl-e-nig.hat-e-gul

    asiir hai mire sheroñ meñ naġhmagī tarah

    mirā ġhazāl ki vahshat thī jis ko saa.e se

    lipaT gayā mire siine se aadmī tarah

    mirī nigāh ko apne aa.ine meñ bhī dekh

    jamī hai tere laboñ par shaguftagī tarah

    kahāñ ke she'r kahāñ ġhazal ye zehn rau

    bikhar ga.ī mire kāġhaz pe shā.irī tarah

    zabāñ khulī hai to dil phaT paḌā hai sūrat-e-gul

    vagarna ham bhī the gum aap meñ kalī tarah

    lahad meñ zehn madfūn paikar-e-auhām

    mirī ragoñ meñ machalte haiñ zindagī tarah

    ye dhūp-chhāñv hai duniyā ḳhud mirā saaya

    mire qarīb se guzrā hai ajnabī tarah

    ġham-e-zamāna se dil-tañg the bahut 'bāqar'

    simaT ke rah ga.e ehsās-e-bekasī tarah

    wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah

    baras paDa mere aangan mein chandni ki tarah

    wo jis ke waste ek harf-e-muddaa na mila

    utar gaya mere sine mein aagahi ki tarah

    nazar bacha ke jise dekhte the mere harif

    sama gaya meri aankhon mein raushni ki tarah

    hawa pe jis ke qadam hain misal-e-nighat-e-gul

    asir hai mere sheron mein naghmagi ki tarah

    mera ghazal ki wahshat thi jis ko sae se

    lipaT gaya mere sine se aadmi ki tarah

    meri nigah ko tu apne aaine mein bhi dekh

    jami hai tere labon par shaguftagi ki tarah

    kahan ke she'r kahan ki ghazal ye zehn ki rau

    bikhar gai mere kaghaz pe shairi ki tarah

    zaban khuli hai to dil phaT paDa hai surat-e-gul

    wagarna hum bhi the gum aap mein kali ki tarah

    lahad mein zehn ki madfun paikar-e-auham

    meri ragon mein machalte hain zindagi ki tarah

    ye dhup-chhanw hai duniya ki KHud mera saya

    mere qarib se guzra hai ajnabi ki tarah

    gham-e-zamana se dil-tang the bahut 'baqar'

    simaT ke rah gae ehsas-e-bekasi ki tarah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 656)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now