wo hai aag wo pani hai
vo hai aag vo paanī hai
sab kī ek kahānī hai
un khañDarāt ke nīche bhī
jaarī naql-e-makānī hai
koī merī 'umr batā.e
bachpan hai ki javānī hai
ā.īne haiñ gard-ālūd
aur ḳhitta bārānī hai
ghar kā naqsha hai tayyār
ab zanjīr banānī hai
haath hamāre zaḳhmī haiñ
aur chaTTān girānī hai
koī sapnā bhī dekho
vīrānī vīrānī hai
mere ghar kā sannāTā
merī hī be-dhyānī hai
hijr ko hijr na kahnā bhī
'mohsin' be-īmānī hai
wo hai aag wo pani hai
sab ki ek kahani hai
un khanDaraat ke niche bhi
jari naql-e-makani hai
koi meri 'umr batae
bachpan hai ki jawani hai
aaine hain gard-alud
aur KHitta barani hai
ghar ka naqsha hai tayyar
ab zanjir banani hai
hath hamare zaKHmi hain
aur chaTTan girani hai
koi sapna bhi dekho
virani virani hai
mere ghar ka sannaTa
meri hi be-dhyani hai
hijr ko hijr na kahna bhi
'mohsin' be-imani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.