wo hai bhagwan wo patthar main nahin rah sakta
vo hai bhagvān vo patthar maiñ nahīñ rah saktā
vo kisī aur ke paikar meñ nahīñ rah saktā
dhartī ākāsh samay kuchh bhī nahīñ us ke liye
vo kisī vaqt-e-muqarrar meñ nahīñ rah saktā
vo hai lā-intihā mahbūs nahīñ hogā vo
aks us kā kisī manzar meñ nahīñ rah saktā
din kā raajā huuñ ujālā hai singhāsan merā
merā dam ghuTtā hai maiñ ghar meñ nahīñ rah saktā
jitne dhartī pe parānī haiñ maiñ huuñ un se alag
maiñ huuñ insān maiñ bandar meñ nahīñ rah saktā
apne andar meñ koī bojh nahīñ rakhtā 'soz'
shiv koī jaise samundar meñ nahīñ rah saktā
wo hai bhagwan wo patthar main nahin rah sakta
wo kisi aur ke paikar mein nahin rah sakta
dharti aakash samay kuchh bhi nahin us ke liye
wo kisi waqt-e-muqarrar mein nahin rah sakta
wo hai la-intiha mahbus nahin hoga wo
aks us ka kisi manzar mein nahin rah sakta
din ka raja hun ujala hai singhasan mera
mera dam ghuTta hai main ghar mein nahin rah sakta
jitne dharti pe parani hain main hun un se alag
main hun insan main bandar mein nahin rah sakta
apne andar mein koi bojh nahin rakhta 'soz'
shiw koi jaise samundar mein nahin rah sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.