wo hai mere kahne mein
vo hai mere kahne meñ
namak milā hai rishte meñ
ġham aur ḳhushiyāñ rahtī haiñ
chhoTe se ik kamre meñ
khoyā huā merā e.azāz
mil saktā hai malbe meñ
vo hai mīThī mīThī dhun
shor bahut hai naġhme meñ
nafrat meñ jo lazzat hai
baat kahāñ samjhaute meñ
mausam jab tak Thiik na ho
vo rahtā hai sajde meñ
chhuTnā mushkil hai 'jāved'
daaġh bahut haiñ kapḌe meñ
wo hai mere kahne mein
namak mila hai rishte mein
gham aur KHushiyan rahti hain
chhoTe se ek kamre mein
khoya hua mera eazaz
mil sakta hai malbe mein
wo hai miThi miThi dhun
shor bahut hai naghme mein
nafrat mein jo lazzat hai
baat kahan samjhaute mein
mausam jab tak Thik na ho
wo rahta hai sajde mein
chhuTna mushkil hai 'jawed'
dagh bahut hain kapDe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.