wo hum honge sitam-garon se jo Takrane aaenge
vo ham hoñge sitam-gāroñ se jo Takrāne ā.eñge
sar-e-mahfil mohabbat kā sabaq dohrāne ā.eñge
vo mai jis ko samajhne ke liye piinā paḌe ham ko
hameñ us kī haqīqat shaiḳh kyā samjhāne ā.eñge
unheñ lab tak na laane kī qasam tum ne to de dī hai
zabān-e-ḳhalq par lekin vahī afsāne ā.eñge
sukūñ kis kā luTegā kaun ḳhush hogā sar-e-mahfil
nahīñ ma.alūm vo kis par karam farmāne ā.eñge
farishtoñ se ḳhatā hotī nahīñ insāñ se hotī hai
sunā hai is bahāne shaiḳh bhī maiḳhāne ā.eñge
ḳhud apnī tang-zarfī se chhalak uTTheñge mahfil meñ
ba-vaqt-e-mai-kashī aise bhī kuchh paimāne ā.eñge
shugūn-e-nek hai mai-ḳhāne kā barbād ho jaanā
nayā saaqī na.e shīshe na.e paimāne ā.eñge
bahār-e-gulsitāñ 'manzūr' jin rāhoñ se aa.egī
chhiḌakte ḳhuuñ pa-e-gul jhūmte dīvāne ā.eñge
wo hum honge sitam-garon se jo Takrane aaenge
sar-e-mahfil mohabbat ka sabaq dohrane aaenge
wo mai jis ko samajhne ke liye pina paDe hum ko
hamein us ki haqiqat shaiKH kya samjhane aaenge
unhen lab tak na lane ki qasam tum ne to de di hai
zaban-e-KHalq par lekin wahi afsane aaenge
sukun kis ka luTega kaun KHush hoga sar-e-mahfil
nahin malum wo kis par karam farmane aaenge
farishton se KHata hoti nahin insan se hoti hai
suna hai is bahane shaiKH bhi maiKHane aaenge
KHud apni tang-zarfi se chhalak uTThenge mahfil mein
ba-waqt-e-mai-kashi aise bhi kuchh paimane aaenge
shugun-e-nek hai mai-KHane ka barbaad ho jaana
naya saqi nae shishe nae paimane aaenge
bahaar-e-gulsitan 'manzur' jin rahon se aaegi
chhiDakte KHun pa-e-gul jhumte diwane aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.