wo humse ho gaya hai be-KHabar kuchh
vo ham se ho gayā hai be-ḳhabar kuchh
badalte mausamoñ kā hai asar kuchh
kahīñ saa.e meñ ruk kar kyā kareñge
chalo ab tez baaqī hai safar kuchh
havā-e-tund kā ye kaam dekho
na chhoḌā shāḳh par baaqī samar kuchh
bhaTakte phir rahe haiñ rāstoñ meñ
basārat se tahī ahl-e-nazar kuchh
agarche shahr to apnā hai lekin
parā.e se haiñ kyuuñ dīvār-o-dar kuchh
abhī dil meñ uḌānoñ kī hai ḳhvāhish
salāmat haiñ hamāre bāl-o-par kuchh
abhī 'shāhid' luTāo ġham kī daulat
abhī haiñ aañkh meñ la.al-o-gohar kuchh
wo hum se ho gaya hai be-KHabar kuchh
badalte mausamon ka hai asar kuchh
kahin sae mein ruk kar kya karenge
chalo ab tez baqi hai safar kuchh
hawa-e-tund ka ye kaam dekho
na chhoDa shaKH par baqi samar kuchh
bhaTakte phir rahe hain raston mein
basarat se tahi ahl-e-nazar kuchh
agarche shahr to apna hai lekin
parae se hain kyun diwar-o-dar kuchh
abhi dil mein uDanon ki hai KHwahish
salamat hain hamare baal-o-par kuchh
abhi 'shahid' luTao gham ki daulat
abhi hain aankh mein lal-o-gohar kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.