wo humse milne ke liye aae nahin kabhi
vo ham se milne ke liye aa.e nahīñ kabhī
ham ne bhī raag 'ishq kī chheḌe nahīñ kabhī
tum kah rahe ho is liye hañste haiñ varna to
ham jitne dil malūl haiñ hañste nahīñ kabhī
ham ko zamāna chhoḌ gayā lahroñ meñ magar
lahroñ ko ham-safar kiyā Duube nahīñ kabhī
vo regzār kar gayā sarsabz baaġh par
sab peḌ bā-samar rahe sūkhe nahīñ kabhī
vo sañg-e-be-vafā.ī chalātā rahā sadā
lekin vafā ke aa.ine TuuTe nahīñ kabhī
'faisal' chalo usī jagah chalte haiñ ham jahāñ
us be-vafā kā saaya bhī guzre nahīñ kabhī
wo hum se milne ke liye aae nahin kabhi
hum ne bhi rag 'ishq ki chheDe nahin kabhi
tum kah rahe ho is liye hanste hain warna to
hum jitne dil malul hain hanste nahin kabhi
hum ko zamana chhoD gaya lahron mein magar
lahron ko ham-safar kiya Dube nahin kabhi
wo regzar kar gaya sarsabz bagh par
sab peD ba-samar rahe sukhe nahin kabhi
wo sang-e-be-wafai chalata raha sada
lekin wafa ke aaine TuTe nahin kabhi
'faisal' chalo usi jagah chalte hain hum jahan
us be-wafa ka saya bhi guzre nahin kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.