wo hamare hote hote rah gae
vo hamāre hote hote rah ga.e
aur ham sapne sanjote rah ga.e
dil bichhā ke ham kisī kī raah meñ
sirf apnā vaqt khote rah ga.e
phuul bhī gulshan ke sab murjhā ga.e
aur ham buuTe hī bote rah ga.e
pyaar kā sāgar simaT kar rah gayā
ham to bas palkeñ bhigote rah ga.e
chāñd ne bāñdhī thī Dorī ġhair se
aur ham motī pirote rah ga.e
ye 'kashish' jin ke liye jagtī rahī
saath vo ġhairoñ ke sote rah ga.e
wo hamare hote hote rah gae
aur hum sapne sanjote rah gae
dil bichha ke hum kisi ki rah mein
sirf apna waqt khote rah gae
phul bhi gulshan ke sab murjha gae
aur hum buTe hi bote rah gae
pyar ka sagar simaT kar rah gaya
hum to bas palken bhigote rah gae
chand ne bandhi thi Dori ghair se
aur hum moti pirote rah gae
ye 'kashish' jin ke liye jagti rahi
sath wo ghairon ke sote rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.