wo hamein yaad ab nahin karte
vo hameñ yaad ab nahīñ karte
ham bhī fariyād ab nahīñ karte
kyā huā ḳhair hai batā.eñ to
dil pe bedād ab nahīñ karte
shaad hotā hai to uchhaltā hai
dil ko ham shaad ab nahīñ karte
zulm-o-jaur-o-jafā sitam yaaro
vo mire baad ab nahīñ karte
sañg-e-turbat pe maar de tesha
baat farhād ab nahīñ karte
so ga.e āḳhirash miyāñ 'hāvī'
kuchh bhī irshād ab nahīñ karte
wo hamein yaad ab nahin karte
hum bhi fariyaad ab nahin karte
kya hua KHair hai bataen to
dil pe bedad ab nahin karte
shad hota hai to uchhalta hai
dil ko hum shad ab nahin karte
zulm-o-jaur-o-jafa sitam yaro
wo mere baad ab nahin karte
sang-e-turbat pe mar de tesha
baat farhad ab nahin karte
so gae aaKHirash miyan 'hawi'
kuchh bhi irshad ab nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.