Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hans paDa junun ye machalne lagi hayat

Iffat Zeba Kakorvi

wo hans paDa junun ye machalne lagi hayat

Iffat Zeba Kakorvi

MORE BYIffat Zeba Kakorvi

    vo hans paḌā junūñ ye machalne lagī hayāt

    haañ haañ yahī adā yahī andāz-e-iltifāt

    vo muskurā rahe haiñ dhuñdhlakoñ oT se

    yuuñ aazmā rahī hai mujhe talḳhī-e-hayāt

    aa.e haiñ vo junūñ meñ pashemāniyāñ liye

    kyā kyā fareb detā hai husn-e-tasavvurāt

    baḳhshī hai kis ne mere junūñ ko ye āgahī

    samjhā rahā hai kaun mujhe ramz-e-kā.enāt

    kyā kuchh nahīñ milā mujhe hosh-o-ḳhirad se duur

    qadmoñ meñ kā.enāt to muTThī meñ shash-jahāt

    phūloñ se ab na rabt na kāñToñ se ehtiyāt

    'zebā' badal rahe haiñ ba-tadrīj-e-vāqi.āt

    wo hans paDa junun ye machalne lagi hayat

    han han yahi ada yahi andaz-e-iltifat

    wo muskura rahe hain dhundhlakon ki oT se

    yun aazma rahi hai mujhe talKHi-e-hayat

    aae hain wo junun mein pashemaniyan liye

    kya kya fareb deta hai husn-e-tasawwuraat

    baKHshi hai kis ne mere junun ko ye aagahi

    samjha raha hai kaun mujhe ramz-e-kaenat

    kya kuchh nahin mila mujhe hosh-o-KHirad se dur

    qadmon mein kaenat to muTThi mein shash-jahat

    phulon se ab na rabt na kanTon se ehtiyat

    'zeba' badal rahe hain ba-tadrij-e-waqiat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now