wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
Priya Tabita
MORE BYPriya Tabita
vo hañstī āñkheñ hasīñ tabassum damaktā chehra kitāb jaisā
darāz qāmat hai sarv aasā hai rañg khilte gulāb jaisā
vo dhīme lahje ke zer-o-bam meñ phuvār jaisī hasīn rim-jhim
hai guftugū meñ baham tasalsul ravāñ ravāñ sā chanāb jaisā
kuchh us ke aariz kī dil-farebī kuchh us ke hoñToñ kā rañg dilkash
vo sar se pā hai ġhazal kā lahja nayā nayā sā shabāb jaisā
kabhī vo tasvīr ban ke dekhe kabhī vo tahrīr ban ke bole
vo pal meñ gum-sum vo pal meñ hairāñ kisī musavvir ke ḳhvāb jaisā
vo mere jazboñ kī ḳhush-nasībī yā us kī chāhat kī intihā hai
ki us kī āñkhoñ meñ aks merā nihāñ ayaañ sā hijāb jaisā
farishta sūrat duā kā saaya vo ruup insāñ kā dhaar aayā
hai us se duurī azaab mujh ko hai us kā milnā savāb jaisā
palaT ke dekhe to vaqt Thahre vo chal paḌe to zamāna hairāñ
vo rashk-e-ambar vo māh-e-kāmil vo kahkashāñ vo shahāb jaisā
kabhī vo sher-o-suḳhan kā shaidā kabhī vo tahqīq kā divāna
vo merī ġhazloñ kā husn-e-matl.a mire maqāle ke baab jaisā
wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
daraaz qamat hai sarw aasa hai rang khilte gulab jaisa
wo dhime lahje ke zer-o-bam mein phuwar jaisi hasin rim-jhim
hai guftugu mein baham tasalsul rawan rawan sa chanab jaisa
kuchh us ke aariz ki dil-farebi kuchh us ke honTon ka rang dilkash
wo sar se pa hai ghazal ka lahja naya naya sa shabab jaisa
kabhi wo taswir ban ke dekhe kabhi wo tahrir ban ke bole
wo pal mein gum-sum wo pal mein hairan kisi musawwir ke KHwab jaisa
wo mere jazbon ki KHush-nasibi ya us ki chahat ki intiha hai
ki us ki aankhon mein aks mera nihan ayan sa hijab jaisa
farishta surat dua ka saya wo rup insan ka dhaar aaya
hai us se duri azab mujh ko hai us ka milna sawab jaisa
palaT ke dekhe to waqt Thahre wo chal paDe to zamana hairan
wo rashk-e-ambar wo mah-e-kaamil wo kahkashan wo shahab jaisa
kabhi wo sher-o-suKHan ka shaida kabhi wo tahqiq ka diwana
wo meri ghazlon ka husn-e-matla mere maqale ke bab jaisa
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 678)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.