wo har har qadam par sambhalte hue
vo har har qadam par sambhalte hue
diloñ ko masalte haiñ chalte hue
na armāñ ko dekhā nikalte hue
na naḳhl-e-tamannā ko phalte hue
vo kis tarah qaabū meñ aa.eñ mire
qayāmat ke putle haiñ chalte hue
rahī ek andāz par chashm-e-yār
zamāne ko dekhā badalte hue
vo kuchh rañg lā.eñge roz-e-visāl
hinā un ko dekhā hai malte hue
dam-e-naz.a yārab maiñ dekhūñ unheñ
vo dekheñ mirā dam nikalte hue
unheñ ġhair se jab na fursat milī
chale aa.e ham haath malte hue
maiñ jānūñ ki naale meñ hai kuchh asar
jo dil un kā dekhūñ pighalte hue
vo nikle udhar se to ai 'barq' yuuñ
mirā dil kaf-e-pā se malte hue
wo har har qadam par sambhalte hue
dilon ko masalte hain chalte hue
na arman ko dekha nikalte hue
na naKHl-e-tamanna ko phalte hue
wo kis tarah qabu mein aaen mere
qayamat ke putle hain chalte hue
rahi ek andaz par chashm-e-yar
zamane ko dekha badalte hue
wo kuchh rang laenge roz-e-visal
hina un ko dekha hai malte hue
dam-e-naza yarab main dekhun unhen
wo dekhen mera dam nikalte hue
unhen ghair se jab na fursat mili
chale aae hum hath malte hue
main jaanun ki nale mein hai kuchh asar
jo dil un ka dekhun pighalte hue
wo nikle udhar se to ai 'barq' yun
mera dil kaf-e-pa se malte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.