wo har qadam mere hamrah rahguzar mein rahe
wo har qadam mere hamrah rahguzar mein rahe
Manzoor-ul-Haq Nazir
MORE BYManzoor-ul-Haq Nazir
vo har qadam mire hamrāh rahguzar meñ rahe
mirā hī zauq-e-safar mere ham-safar meñ rahe
diyā gayā hai unhīñ ko bahādurī kā nishān
ba-vaqt-e-jang jo chup-chāp apne ghar meñ rahe
tumhāre pyaar kā maiñ bhī huuñ mo'tarif ai dost
tumhārā dard bhī kuchh mere dard-e-sar meñ rahe
unheñ to kuchh na milā jo khaḌe the sāhil par
jo tah meñ utre vahī halqa-e-guhar meñ rahe
ḳhudā kare ki dam-e-sub.h jab bhī aañkh khule
tumhārā phuul sā chehra mirī nazar meñ rahe
ye baat sach hai ki aksar ġharīb ke bachche
amiir bachchoñ se achchhe class-bhar meñ rahe
isī se hotī hai paidā kalām meñ tāsīr
qalam uThāo to māhaul bhī nazar meñ rahe
yahī hai aarzū 'nāzir' ki shā'irī ke tufail
hamārī 'izzat-o-takrīm har bashar meñ rahe
wo har qadam mere hamrah rahguzar mein rahe
mera hi zauq-e-safar mere ham-safar mein rahe
diya gaya hai unhin ko bahaduri ka nishan
ba-waqt-e-jang jo chup-chap apne ghar mein rahe
tumhaare pyar ka main bhi hun mo'tarif ai dost
tumhaara dard bhi kuchh mere dard-e-sar mein rahe
unhen to kuchh na mila jo khaDe the sahil par
jo tah mein utre wahi halqa-e-guhar mein rahe
KHuda kare ki dam-e-subh jab bhi aankh khule
tumhaara phul sa chehra meri nazar mein rahe
ye baat sach hai ki aksar gharib ke bachche
amir bachchon se achchhe class-bhar mein rahe
isi se hoti hai paida kalam mein tasir
qalam uThao to mahaul bhi nazar mein rahe
yahi hai aarzu 'nazir' ki sha'iri ke tufail
hamari 'izzat-o-takrim har bashar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.