Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo harf-e-shauq hun jis ka koi siyaq na ho

Shahid Ishqi

wo harf-e-shauq hun jis ka koi siyaq na ho

Shahid Ishqi

MORE BYShahid Ishqi

    vo harf-e-shauq huuñ jis koī siyāq na ho

    samajh sako na agar ishq mirāq na ho

    tire firāq se mānūs ho ke sochtā huuñ

    tirī vafā tarah ye bhī ik mazāq na ho

    judā na hoñ jinheñ yārāna ho judā.ī

    mileñ na vo jinheñ milne ishtiyāq na ho

    hazār shauq tirā kam ho par ḳhudā na dikhā.e

    vo din ki terī judā.ī bhī dil pe shaaq na ho

    bhalā huā ki ġham-e-āshiqī shi.ār kiyā

    vo kyā kare jo kisī bhī hunar meñ taaq na ho

    wo harf-e-shauq hun jis ka koi siyaq na ho

    samajh sako na agar ishq ka miraq na ho

    tere firaq se manus ho ke sochta hun

    teri wafa ki tarah ye bhi ek mazaq na ho

    juda na hon jinhen yarana ho judai ka

    milen na wo jinhen milne ka ishtiyaq na ho

    hazar shauq tera kam ho par KHuda na dikhae

    wo din ki teri judai bhi dil pe shaq na ho

    bhala hua ki gham-e-ashiqi shiar kiya

    wo kya kare jo kisi bhi hunar mein taq na ho

    Source :
    • Book : Qamat (Pg. 53)
    • Author : Shahid Hussain
    • Publication : Arshia Publications (1985)
    • Edition : 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now