wo hasin honT hamein kam hi mayassar aae
vo hasīñ hoñT hameñ kam hī mayassar aa.e
chand logoñ pe karam us ke baḌe hote haiñ
uljhaneñ itnī haiñ darpesh hameñ mat pūchho
jaise kapḌoñ meñ ka.ī dhāge aḌe hote haiñ
ḳhastā-hāloñ ke masā.il to ka.ī haiñ lekin
ham ġharīboñ ke baḌe baḳht saḌe hote haiñ
is taraf bhī to kabhī dekh liyā kar pyāre
tere girvīda tirī rah meñ paḌe hote haiñ
ruḳh-e-zebā kā vo sadqa jo kabhī de 'ābir'
haath meñ kaasa liye ham bhī khaḌe hote haiñ
wo hasin honT hamein kam hi mayassar aae
chand logon pe karam us ke baDe hote hain
uljhanen itni hain darpesh hamein mat puchho
jaise kapDon mein kai dhage aDe hote hain
KHasta-haalon ke masail to kai hain lekin
hum gharibon ke baDe baKHt saDe hote hain
is taraf bhi to kabhi dekh liya kar pyare
tere girwida teri rah mein paDe hote hain
ruKH-e-zeba ka wo sadqa jo kabhi de 'abir'
hath mein kasa liye hum bhi khaDe hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.