wo hasin KHud-pasand meri taraf
vo hasīñ ḳhud-pasand merī taraf
maslahat kī kamand merī taraf
zulm kar ke bhī dekhtā hai vo
kaun hai dard-mand merī taraf
vo bhī maidān chhoḌ kar bhāge
the sipāhī jo chand merī taraf
apne hāthoñ se kholtā hī nahīñ
kar ke lipTā hai band merī taraf
jiit baunoñ kī ho ga.ī āḳhir
the ka.ī sarbuland merī taraf
vāris-e-taḳht-o-tāj bhī hai 'zarar'
malika-e-arjumand merī taraf
wo hasin KHud-pasand meri taraf
maslahat ki kamand meri taraf
zulm kar ke bhi dekhta hai wo
kaun hai dard-mand meri taraf
wo bhi maidan chhoD kar bhage
the sipahi jo chand meri taraf
apne hathon se kholta hi nahin
kar ke lipTa hai band meri taraf
jit baunon ki ho gai aaKHir
the kai sarbuland meri taraf
waris-e-taKHt-o-taj bhi hai 'zarar'
malika-e-arjumand meri taraf
- Book : faKHr-e-Ghazalgoee (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.