wo hawa par sawar hai so hai
vo havā par savār hai so hai
kibr us kā madār hai so hai
ḳhud-numā.ī shi.ār hai so hai
aadmī ishtihār hai so hai
rā.egāñ hai mirā ḳhulūs-e-vafā
vo anā kā shikār hai so hai
laakh minnat kare sakhī hātim
bhiik se ham ko aar hai so hai
faqr-o-fāqa nahīñ hai majbūrī
ye hamārā shi.ār hai so hai
bār-e-ehsāñ utāriye kaise
naqd-e-jāñ musta.ār hai so hai
dekhiye mauj kī pashemānī
Duub kar bhī vo paar hai so hai
ye samundar hai ilm-o-dānish kā
be-karāñ be-kanār hai so hai
wo hawa par sawar hai so hai
kibr us ka madar hai so hai
KHud-numai shiar hai so hai
aadmi ishtihaar hai so hai
raegan hai mera KHulus-e-wafa
wo ana ka shikar hai so hai
lakh minnat kare sakhi hatim
bhik se hum ko aar hai so hai
faqr-o-faqa nahin hai majburi
ye hamara shiar hai so hai
bar-e-ehsan utariye kaise
naqd-e-jaan mustaar hai so hai
dekhiye mauj ki pashemani
Dub kar bhi wo par hai so hai
ye samundar hai ilm-o-danish ka
be-karan be-kanar hai so hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.