Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hon muTThi mein unki dil ho hum hon

Riyaz Khairabadi

wo hon muTThi mein unki dil ho hum hon

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    vo hoñ muTThī meñ un dil ho ham hoñ

    yūñhī parda kuchh haa.il ho ham hoñ

    satā.eñ ham use jis tarah chāheñ

    koī nashshe meñ yuuñ ġhāfil ho ham hoñ

    tumhārā baam rashk-e-āsmāñ ho

    agar tum ho mah-e-kāmil ho ham hoñ

    mazā ḳhalvat aa.e qatl-gah meñ

    vahāñ koī na ho qātil ho ham hoñ

    har ik goshe meñ jaise hashr barpā

    na.e fitne hoñ vo mahfil ho ham hoñ

    nahīñ parvā na sabza ho lab-e-jū

    ye miinā ho lab-e-sāhil ho ham hoñ

    hamāre haath meñ ho teġh qātil

    na ho koī 'adū bismil ho ham hoñ

    girah ho zulf dil meñ hamāre

    hamārā uqda-e-mushkil ho ham hoñ

    purāne najd meñ ab hoñ na.e aaj

    na.ī lailā nayā mahmil ho ham huuñ

    yūñhī ham apnī hastī se guzar jaa.eñ

    hamārī sa'i-e-lā-hāsil ho ham hoñ

    ye kam-baḳht ik jahān-e-ārzū hai

    na ho koī hamārā dil ho ham hoñ

    na ham uTTheñ na koī haath uThā.e

    gale par ḳhanjar-e-qātil ho ham hoñ

    ye sahv-o-mahv hoñ ham sair-e-gul meñ

    har ik ġhuncha hamārā dil ho ham hoñ

    'riyāz' us shoḳh ko bhī tum sunā do

    vo kyā hai chulbulā dil ho ham hoñ

    wo hon muTThi mein un ki dil ho hum hon

    yunhi parda sa kuchh hail ho hum hon

    sataen hum use jis tarah chahen

    koi nashshe mein yun ghafil ho hum hon

    tumhaara baam rashk-e-asman ho

    agar tum ho mah-e-kaamil ho hum hon

    maza KHalwat ka aae qatl-gah mein

    wahan koi na ho qatil ho hum hon

    har ek goshe mein jaise hashr barpa

    nae fitne hon wo mahfil ho hum hon

    nahin parwa na sabza ho lab-e-ju

    ye mina ho lab-e-sahil ho hum hon

    hamare hath mein ho tegh qatil

    na ho koi 'adu bismil ho hum hon

    girah ho zulf ki dil mein hamare

    hamara uqda-e-mushkil ho hum hon

    purane najd mein ab hon nae aaj

    nai laila naya mahmil ho hum hun

    yunhi hum apni hasti se guzar jaen

    hamari sa'i-e-la-hasil ho hum hon

    ye kam-baKHt ek jahan-e-arzu hai

    na ho koi hamara dil ho hum hon

    na hum uTThen na koi hath uThae

    gale par KHanjar-e-qatil ho hum hon

    ye sahw-o-mahw hon hum sair-e-gul mein

    har ek ghuncha hamara dil ho hum hon

    'riyaz' us shoKH ko bhi tum suna do

    wo kya hai chulbula sa dil ho hum hon

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now