wo honge aur unki yaad hogi
vo hoñge aur un kī yaad hogī
mirī duniyā magar barbād hogī
jalī harfoñ meñ jo chhāpī ga.ī hai
ḳhabar vo saarī be-buniyād hogī
nazar aa jā.egā phir āsmāñ bhī
mire hoñToñ pe jab fariyād hogī
bichhaḌ kar milte haiñ ik roz premī
kahānī ye bhī tum ko yaad hogī
janāb-e-'josh' kī qurbāniyoñ kī
dil-e-ahl-e-vatan meñ yaad hogī
wo honge aur un ki yaad hogi
meri duniya magar barbaad hogi
jali harfon mein jo chhapi gai hai
KHabar wo sari be-buniyaad hogi
nazar aa jaega phir aasman bhi
mere honTon pe jab fariyaad hogi
bichhaD kar milte hain ek roz premi
kahani ye bhi tum ko yaad hogi
janab-e-'josh' ki qurbaniyon ki
dil-e-ahl-e-watan mein yaad hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.