vo hue sun kar paanī paanī
chheḌīñ jo ham ne bāteñ purānī
naġhma-e-qulqul nāla-e-bulbul
terā fasāna merī kahānī
terī jafā kā naqsha hai dozaḳh
terī adā kī hashr nishānī
ishq meñ kyūñ-kar chain ho hāsil
miltā nahīñ hai aag se paanī
ishq meñ ham ko haath ye aayā
baiThte uThte ashk-fishānī
ishq meñ 'sā.ib' jaan gañvā.ī
ham ne kisī kī ek na maanī
wo hue sun kar pani pani
chheDin jo hum ne baaten purani
naghma-e-qulqul nala-e-bulbul
tera fasana meri kahani
teri jafa ka naqsha hai dozaKH
teri ada ki hashr nishani
ishq mein kyun-kar chain ho hasil
milta nahin hai aag se pani
ishq mein hum ko hath ye aaya
baiThte uThte ashk-fishani
ishq mein 'saib' jaan ganwai
hum ne kisi ki ek na mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.