wo husn-e-be-misal kahan jalwa-gar nahin
vo husn-e-be-misāl kahāñ jalva-gar nahīñ
apnā qusūr hai hameñ tāb-e-nazar nahīñ
sunte haiñ chāñd raat ko aayā thā baam tak
phir is ke baad kyā huā kuchh bhī ḳhabar nahīñ
us ke sarāpā husn kī tārīf kyā kareñ
sar-tā-qadam parī hai faqat us ke par nahīñ
bikhre hue haiñ baal sitāroñ kī chhāñv meñ
sajde meñ gir paḌeñge sitāre ye dar nahīñ
guzrī thī raat us ke qadam par paḌe paḌe
dekhī phir us ke baad kabhī phir sahar nahīñ
us kī 'farāz' ek jhalak bhī kise nasīb
ek tum ke tum ne dekhā use raat bhar nahīñ
wo husn-e-be-misal kahan jalwa-gar nahin
apna qusur hai hamein tab-e-nazar nahin
sunte hain chand raat ko aaya tha baam tak
phir is ke baad kya hua kuchh bhi KHabar nahin
us ke sarapa husn ki tarif kya karen
sar-ta-qadam pari hai faqat us ke par nahin
bikhre hue hain baal sitaron ki chhanw mein
sajde mein gir paDenge sitare ye dar nahin
guzri thi raat us ke qadam par paDe paDe
dekhi phir us ke baad kabhi phir sahar nahin
us ki 'faraaz' ek jhalak bhi kise nasib
ek tum ke tum ne dekha use raat bhar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.