wo husn husn-e-badan kab kisi ko dekhta hai
vo husn husn-e-badan kab kisī ko dekhtā hai
ḳhud apne mā’nī-o-mafhūm hī ko dekhtā hai
guzar rahī hai in āñkhoñ ke sāmne se bahār
Thahar Thahar ke ye dil us galī ko dekhtā hai
ye dil ki asl meñ be-dīd hī kī rū se hai
pukārtā hai kisī ko kisī ko dekhtā hai
nahīñ khulegā kisī tarh husn-e-ārā.ish
tū kis lihāz se is sādgī ko dekhtā hai
'abas hai paañv kī zanjīr dekhnā har sub.h
junūñ-shi’ār kahāñ be-kasī ko dekhtā hai
vo TūTte hue ehsās chhūTte hue log
tū duur hotī huī zindagī ko dekhtā hai
nihāñ thā sab se vo ik phuul jo ki zaḳhm banā
'ayāñ huā to zamāna usī ko dekhtā hai
vo peshtar kisī nā-dīd kī talāsh meñ thā
panāh ke liye ab shā'irī ko dekhtā hai
wo husn husn-e-badan kab kisi ko dekhta hai
KHud apne ma’ni-o-mafhum hi ko dekhta hai
guzar rahi hai in aankhon ke samne se bahaar
Thahar Thahar ke ye dil us gali ko dekhta hai
ye dil ki asl mein be-did hi ki ru se hai
pukarta hai kisi ko kisi ko dekhta hai
nahin khulega kisi tarh husn-e-araish
tu kis lihaz se is sadgi ko dekhta hai
'abas hai panw ki zanjir dekhna har subh
junun-shi’ar kahan be-kasi ko dekhta hai
wo TuTte hue ehsas chhuTte hue log
tu dur hoti hui zindagi ko dekhta hai
nihan tha sab se wo ek phul jo ki zaKHm bana
'ayan hua to zamana usi ko dekhta hai
wo peshtar kisi na-did ki talash mein tha
panah ke liye ab sha'iri ko dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.