wo husn kya jo kisi dil ka muddaa na hua
vo husn kyā jo kisī dil kā mudda.ā na huā
vo ishq kyā jo mohabbat kī intihā na huā
bachegā kyā koī un kī nazar ke tīroñ se
nishāna un kī nazar kā kabhī ḳhatā na huā
koī payām na ham nāma-bar ko de paa.e
salām kahte hī fil-faur vo ravāna huā
hamārā zikr pahuñchte hī un kī mahfil meñ
zamāne bhar kī zabāñ par chaḌhā fasāna huā
ḳhudā ke bande hī bandoñ pe zulm karte haiñ
ḳhudā kā shukr hai banda abhī ḳhudā na huā
tire huzūr pahuñch kar bhī sab rahe mahrūm
kisī ko hausla-e-arz-e-mudda.ā na huā
butoñ kī yaad meñ 'āzam' basar huī apnī
ḳhudā kī yaad kā farz ek din adā na huā
wo husn kya jo kisi dil ka muddaa na hua
wo ishq kya jo mohabbat ki intiha na hua
bachega kya koi un ki nazar ke tiron se
nishana un ki nazar ka kabhi KHata na hua
koi payam na hum nama-bar ko de pae
salam kahte hi fil-faur wo rawana hua
hamara zikr pahunchte hi un ki mahfil mein
zamane bhar ki zaban par chaDha fasana hua
KHuda ke bande hi bandon pe zulm karte hain
KHuda ka shukr hai banda abhi KHuda na hua
tere huzur pahunch kar bhi sab rahe mahrum
kisi ko hausla-e-arz-e-muddaa na hua
buton ki yaad mein 'azam' basar hui apni
KHuda ki yaad ka farz ek din ada na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.