wo ek fasana karungi zahir jo baat dil mein dabi hui hai
wo ek fasana karungi zahir jo baat dil mein dabi hui hai
Sufiya Deepika Kausar
MORE BYSufiya Deepika Kausar
vo ik fasāna karūñgī zāhir jo baat dil meñ dabī huī hai
qadam zamīñ par nahīñ haiñ mere mujhe mohabbat milī huī hai
sunā hai jab se vo aa rahe haiñ falak hai dāman bichhā.e baiThā
fazā bhī jaise mahak rahī hai havā bhī kuchh kuchh thamī huī hai
ḳhudā gavāh hai ki husn aisā kahīñ bhī hogā na is jahāñ meñ
mire muqābil hue haiñ jab se nazar unhīñ par jamī huī hai
jo un ko dekhā to raaz jaanā hai chāñd raushan unhīñ ke dam se
miTe haiñ shab ke sabhī añdhere ki raushnī bhī tabhī huī hai
us ek pal jab kahā thā us ne maiñ jā rahā huuñ vatan ko apne
Thahar gayā hai ye vaqt tab se zamīñ kī gardish rukī huī hai
vo aise shāmil huā hai mujh meñ ki miT gayā hai vajūd merā
fanā bhī us meñ baqā bhī us meñ usī meñ 'kausar' basī huī hai
wo ek fasana karungi zahir jo baat dil mein dabi hui hai
qadam zamin par nahin hain mere mujhe mohabbat mili hui hai
suna hai jab se wo aa rahe hain falak hai daman bichhae baiTha
faza bhi jaise mahak rahi hai hawa bhi kuchh kuchh thami hui hai
KHuda gawah hai ki husn aisa kahin bhi hoga na is jahan mein
mere muqabil hue hain jab se nazar unhin par jami hui hai
jo un ko dekha to raaz jaana hai chand raushan unhin ke dam se
miTe hain shab ke sabhi andhere ki raushni bhi tabhi hui hai
us ek pal jab kaha tha us ne main ja raha hun watan ko apne
Thahar gaya hai ye waqt tab se zamin ki gardish ruki hui hai
wo aise shamil hua hai mujh mein ki miT gaya hai wajud mera
fana bhi us mein baqa bhi us mein usi mein 'kausar' basi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.