wo ek hasin hadisa jo hote hote Tal gaya
wo ek hasin hadisa jo hote hote Tal gaya
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
vo ik hasīn hādisa jo hote hote Tal gayā
hamārī zindagī ke sab usuul hī badal gayā
fazā-e-sāzgār se na thī ġharaz bahār se
babūl kī tarah thā maiñ kahīñ bhī phuul phal gayā
hazār ho kisī se ishq laakh hoñ aqīdateñ
magar kisī ke āstāñ pe kaun sar ke bal gayā
bhalā ye merī tishnagī na aur kyoñ bhaḌak uThe
ki aaya mere haath meñ to jaam hī pighal gayā
pahuñch chukā thā maiñ bahut qarīb apne ḳhvāb ke
magar maiñ sochtā rahā raqīb chaal chal gayā
maiñ jis ke intizār meñ thā vo kahīñ vahī na ho
nazar bachā ke jo abhī qarīb se nikal gayā
Tapak rahī thī 'ambar' us kī shakl se farishtagī
magar vo saare shahr ko burī tarah se chhal gayā
wo ek hasin hadisa jo hote hote Tal gaya
hamari zindagi ke sab usul hi badal gaya
faza-e-sazgar se na thi gharaz bahaar se
babul ki tarah tha main kahin bhi phul phal gaya
hazar ho kisi se ishq lakh hon aqidaten
magar kisi ke aastan pe kaun sar ke bal gaya
bhala ye meri tishnagi na aur kyon bhaDak uThe
ki aaya mere hath mein to jam hi pighal gaya
pahunch chuka tha main bahut qarib apne KHwab ke
magar main sochta raha raqib chaal chal gaya
main jis ke intizar mein tha wo kahin wahi na ho
nazar bacha ke jo abhi qarib se nikal gaya
Tapak rahi thi 'ambar' us ki shakl se farishtagi
magar wo sare shahr ko buri tarah se chhal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.